woh kehti hai kia ab b kisi k liye laal hari churiyaan kharedtty hu??
main kehta hun kisi ki kalaee pe ab yah rung acha nahi lagta..
woh kehti hai kia ab b kisi k anchaal ko akaash likhty hu??
main kehta hun kisi k anchaal main ab itni woosaat nahi..
woh kehti hai k kia mery baad kisi larki se muhabbt hui tumhain??
main kehta hun muhabbat sirf larki per mushtamil nahi huti..
woh kehti hai kia ab b mujhy Bewafa k naam se yaad kerty hu??
main kehta hun mery naseeb main yah lafz shamil nahi..
woh kehti hai k kabhi mery zikar per rou b laity hogay??
main kehta hun k meri ankhoon ko hur waqt ki phuaar achi lagti hai....
Friday, May 30, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment