Friday, May 30, 2008

Mujhe Tanha nahi karna

Wafa ruswa nahin kerna
Suno aisa nahin kerna

Main pehley hi akaila hoon
Mujhe tanha nahin kerna

Merey yeh jheel si aankhain
kabhi sehra nahin kerna

Judai bhi jo aa jayey
to dill uss ka nahin kerna

Bohat masroof ho jana
mujhe socha nahin kerna

Bharoosa bhi zaroory hai
mager sabka nahin kerna

Muqaddar phir muqaddar hain
kabhi dawaa nahin kerna

Meri takmeel tumsey hai
mujhe aadha nahin kerna

Jo likha hai wohi ho ga
kabhi shikwa nahin kerna

Haqeeqat hai milan apna
issey sapna nahin kerna

No comments: