Monday, October 27, 2008

Chalo ik nazm likhte hain

Chalo ik nazm likhte hain,
Kisi k nam karte hain,
Magar ye sochna hai ab,

K us me zikr kis ka ho,
K us me baat kis ki ho,
K us me zat kis ki ho,

Aur ye bhi farz karte hain,
K jis pe nazm likhte hain,
Humain us se muhabbat hai,
Hamare sare jazboon ko,
Bus us ki hi zarorat hai,

Chalo ik kam karte hain
K ham jo nazm likhte hian

Tumhare naam kerte hain
Tumhi unwaan ho is ka

Tumhara zikr hay is main
Tumhari baat hay is main
Tumhari zaat hay is main

Kabhi yon Jo ho kiSi Din agr

kabhi yon jo ho kisi din agar
kabhi to jo sar E raah miley
mein hazar lamhon ko khench kar
ye jo chalta waqt hay...bandh don

ye jo gardishein hein zameen ki
isi aik lamhay pe ruki rahein

mein taka karon tujey jazab say
yonhi pyar say yonhi shoq say
teri har ada ko samet lon
mein hisar e jaan mein saja rakhon

to jo pas ho to mein je sakon
to jo door ho,, na jia karon...!!!

kabhi yon jo ho kisi din agr
merye humsafar to jo na milay

mein hazar dharkanon ko khench kar
ye jo chalta dill hay...bandh don

ye jo silslay hein meri sans k
teri doori mein he haar don

to jo paas ho to mein jee sakon
to jo door ho...na jia karon...!!!!