Friday, May 30, 2008

Main rang main dekhti thi,

Main rang main dekhti thi, main khoshboo main sochti thi
Mujhay gooman tha kay zindigi oojli khawahishoon kay cheragh lay ker
Meray darechoon main roshni ki naweed ban ker utar rahi hay
Main koohar main chandni pehan ker
Banafshi badal ka hath thamay
Fiza main parwaz ker rahi thi
Samatoon main sahaab lehjoo ki barishain thee
Basaratoon main gulab chehron ki roshni thi
Hawa ki raysham rafaqatain thee
Saba ki shabnam aanayatain theen
Hayat khaboo ka silsila thi
Khooli jo ankh to saray manzar dhanak kay us par reh gay thay
Na rang meray, na khawab meray
Howay tou bus…….. kuch azab meray
Na chand ratain, na phool batain
Na neel subhain, na jheel shamain
Na koi aahat, na koi dastak
Haroof mafhoom kho chukay thay
Alamatain baymaani ho gai thee
Gulabi khawaboo kay perahan rakh ho chukay thay
Haqeqatoon ki barhanagi
Apni sari safakiyon kay humrah
Jismoo jan per utar rahi thi
Wo meharban saya dar badal
Azab ki rot main chor ker mujh ko ja chukka tha
Zamen ki teez dhoop ankh main chubh rahi thi

No comments: