Friday, May 30, 2008

is tarah nahin kartay

is tarah nahin kartay rabta to rakhtay hain
thora milnay julnay ka silsala to rakhtay hain

manzalain buland hon to mushkalain b ati hain
mushkilon say larnay ka hosla to rakhtay hain

jo tumharay apnay hon tum say piyaar kartay hon
un ka hal kaisa hai?kuch pata to rakhtay hain

dosti k rishtay ko tortay nahin aisay
roothay doston say b wasta to rakhtay hain

chor janay walay aksar laot kar b atay hain
lot kar wo anay ka rasta to rakhtay hain.

No comments: