Ik dil walon ki basti thi,
jahan chand or sooraj rehtey thay,
kuch sooraj mann ka pagal tha,
kuch chand bhi shokh or chanchal tha,
basti basti phirtey thay,
har pal hanstey rehtey thay,
phir ik din dono rooth gaye,
or saare sapney toot gaye,
ab chand bhi us waqt aata hai,
sooraj jab so jata hai,
badal shab se kehte hain,
sooraj uljha sa rehta hai..
chand ke sath sitaare hain,
per sooraj tanha rehta hai!
Friday, October 3, 2008
Chupke Chupke Ro lena
Jab seena gham se bhojal ho aur yaad kisi ki aati ho
Tab kamrey me band ho jana aur chupke chupke ro lena
Jab ankhain baagi ho jayen aur yaad me meri bhar aayen
Phir khud ko dhoka mat dena aur chupke chupke ro lena
Jab palkein karb se moondi hon aur sab samjhain tum soye ho
Tab munh per takkiya rakh lena aur chupke chupke ro lena
yeh duniya zaalim duniya hai, yeh baat bohat phelaaye gi
Tum saamney sab k chup rehna aur chupke chupke ro lena
Jab barish chehra dho daaley aur ashk bhi boondain lagti hon
Woh lamha hargiz mat khona aur chupke chupke ro Lena!!!!!!

Tum sy kuch nai kehna
Hum ny soch rakha hy
chahy dil ki hre khwahish
zindagi ki ankhon sy ashk bn kr
beh jaaye
Chahy ab makenon pr
ghar ki saari deewaaryn chut samait gir jaayn
or by muqaddar hum
is badan k mulby mn khud hy kyun na dub jayn
tum sy kuch nhn kehna
Kaisi neend the apni kaisy khawab thy apny
or ab gulaabon pr
neend waali aankhon pr
narm khoo sy khwaabon pr
kyun azzaab tooty hyn
tum sy kuch nhn kehna
Ghir gaye hyn raaton mn
by libaas raaton mn
is tarha ki raaton mn
kub charagh jalty hyn
kub azaab talty hyn
ab to in azaabon sy buch k bhi nikalny ka koi rasta nhn jaanaan
Hum ny soch rakha hy
Tum sy kuch nai kehna.........

Bina ik Lafz boly Wo gai or Phir nHi ai
Bazahir aam lehjay me
kaha tha main ne jab us se
"Badal lo raasta apna
juda raahain yahin kar lo
hamaray chahnay na chahnay se
kuch nahi hota
ye hi sach hai keh hum do mukhtalif
raston ke raahi hain
to phir keyun dil ki maaney hum
shuru me manta hoon main
azziyat dil ko pohanchay gi
magar phir waqt guzray ga
sabhi zakhmon ko bhar de ga"
Meray is aam se lehjay pe wo
ik pal ko chonka thee
meri aankhon me aankhain daal kar
hairat se poocha tha
"Ye sab jo kah rahy ho khud ko ye samjha bhi paao gy?"
Bohat hi jee karda kar ke
main us dam muskuraya tha
bohat khud pe jabar kar ke
main us se keh ye paya tha
"Meri tum fikr rehnay do
sambhal jaoon ga main khud hi
sabhi zakhmon ko sii loon ga
bhula kar sari batoon ko
akaila bhi main jee loon ga"
Bohat hee be yaqeen aakhon se
us ne mujh ko dekha aur
Bina ik lafz bolay wo gai or phir nahi ai
Aur ab tark-e-taalluq ko
agarche umar beeti hai
magar is dil pe us ki zaat ka
jo naqsh qaaim tha
kabhi dhundla nahi hota
mujhay mehsoos hota hai
keh jaisay meray kanoon me
wo apni bolti aankhon se
sargoshi si karti hai
"Wo Sab Jo Keh Rehy thy
Khud Ko Wo Samjha Bhi Paye Ho?"

Ab ho chala yaqeen keh burey hum hain dosto,
Tum bhi khafa ho log bhi barham hain dosto,
Ab ho chala yaqeen keh burey hum hain dosto,
Kis ko hamarey haal se nisbat hai kaya kahain,
Aankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto,
Apney siwa hamarey na honey ka gham kisey,
Apni talaash mein to hamee hum hain dosto,
Kuch aaj shaam hee se hai dil bhi bhuja bhuja,
Kuch shehar ke chiraagh bhi maddham hain dosto,
Iss shehar e aarzoo se bhi baahir nikal chalo,
Ab dil ki ronaqain bhi koyi dam hain dosto!!!!!!

Udasiyon ka sabab jo likhna
Udasiyon ka sabab jo likhna
to yeh bhi likhna…
key chand taaray, shahab
ankhain badal gaye hain.
wo zinda lamhay jo teri rahon mein,
teray anay key muntazir thay;
wo thak key saayon mein dhal gaye hain.
wo teri yadein, khyal teray, ranj teray, malal teray
wo teri ankhain, sawal teray
woh tum sey meray tamam rishtay bichar gaye hain.
udasiyon ka sabab jo likhna
to yeh bhi likhna…
larztay honton pey larkrhati dua key suraj
pighal gaye hain…
tamam sapnay hi jal gaye hain

Mohabbat Thair Jaati Hai
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
Raston kee marzi hai
Bay zameen logon ko
Bay qarar aankhaon ko
Badnaseeb qadmon ko
Jis taraf bhi lay jayen
Raston kee marzi hai
Bay-nishan jazeeron pe
Bad guman shahron me
Bay zuban musafir ko
Jis taraf bhi bhatka dain
Raston kee marzi hai
Rok lain ya barhney dain
Thaam lain ya girney dain
Wasal ki lakeeron ko
Tor dain ya milney dain
Raston kee marzi hai
Ajnabi ko le kar
Humsafar bana daalain
Sath chalney valon ki
Raakh bhi urra daalain
Ya musafatain sari
khaak me mila daalain
Raston kee marzi hai!!!!!!
Bay qarar aankhaon ko
Badnaseeb qadmon ko
Jis taraf bhi lay jayen
Raston kee marzi hai
Bay-nishan jazeeron pe
Bad guman shahron me
Bay zuban musafir ko
Jis taraf bhi bhatka dain
Raston kee marzi hai
Rok lain ya barhney dain
Thaam lain ya girney dain
Wasal ki lakeeron ko
Tor dain ya milney dain
Raston kee marzi hai
Ajnabi ko le kar
Humsafar bana daalain
Sath chalney valon ki
Raakh bhi urra daalain
Ya musafatain sari
khaak me mila daalain
Raston kee marzi hai!!!!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)