Udaas lamhoN,ujaarr ratoN
Merey takhayyul sey door bhaago
Ye neend mujhsey baizar hai kyun?
Is dukh ko mujhsey hi pyar hai kyun?
Ye log jo merey rahber hain
Ye meri sochoN sey bey khabar hain
Ye mujhsey kehtey hain,titliyoN per,
Main jugnooOn per kitaab likkhoon
K chahatoN ka nisaab likkhoon
Inhein main kesey bataoon k ab...
Bahar Mosum” guzar chukka hai
Udaas baiy kal khizaaN ka mosum
Humarey dil mein utar chuka hai
Hai ab to jeena wabal apna
Na roop rung,na jamal apna
Tha jis ko thorra khayal apna
Wo shaqs to kub ka mar chukka hai
Humarey qehqahoN ka,khusbooOn ka
Wo dor kub ka guzar chuka hai
Haseen aankhoN k rat jagoN mein
Udaas mosum thehr chuka hai!
Sunday, January 11, 2009
Koi Apna Nahi Banta...!
Labon pay naam rakhnay say
Dilon main yaad karnay say
Har ik dharkan, har ik tarpan
Kisi ke naam karnay say
Koi apna nahi banta...!!!
Tamam umar ki khushiyan
Mohabbat ki sabhi ghariyan
Kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Woh pehlay piyar ki batain
Fafaqat ki sabhi ratain
Woh chahat ki sabhi rasmain
Mohabbat ki sabhi qasmain
Humaisha yaad rakhnay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Kisi tanha akaili raah guzar par
Puranay say kisi boorhay shajar par
Patthar say koi dil bananay say
Aur...
Uss main apna or kisi ka naam sajanay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Kay jab......aankhain hi marr ja'ain
To phir sapna nahin banta
Yeh jeewan daaan kar ja'ain
To bhi apna nahi banta
Koi apna nahin banta...!!!
Dilon main yaad karnay say
Har ik dharkan, har ik tarpan
Kisi ke naam karnay say
Koi apna nahi banta...!!!
Tamam umar ki khushiyan
Mohabbat ki sabhi ghariyan
Kisi ko daan karnay say
ke ...us pay maan karnay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Woh pehlay piyar ki batain
Fafaqat ki sabhi ratain
Woh chahat ki sabhi rasmain
Mohabbat ki sabhi qasmain
Humaisha yaad rakhnay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Kisi tanha akaili raah guzar par
Puranay say kisi boorhay shajar par
Patthar say koi dil bananay say
Aur...
Uss main apna or kisi ka naam sajanay say
Koi apna nahi banta ...!!!
Kay jab......aankhain hi marr ja'ain
To phir sapna nahin banta
Yeh jeewan daaan kar ja'ain
To bhi apna nahi banta
Koi apna nahin banta...!!!
Kiya Tum bhi...?
Kiya tum bhi...?
Shaam ki dehleez pe
Aas ka deep Jalaty ho?
Aur kisi awara patay ki ahat pr
Darwazay ki taraf bhaagy jatay ho?
Kiya tum bhi???
Dard chupanay ki koshish kartay kartay....
Aksar thak se jatay ho!
Aur bila waja muskuratay ho??
Kiya tum bhi???
Neend se pehlay palkon pr
Dhairoan khawab sajatay ho?
Ya phir bister per lait ker...
Ritay rotay sojatay ho????
Kiya tum bhi...
Akhir meri tarhaa Haaar jatay ho....!!!!
Shaam ki dehleez pe
Aas ka deep Jalaty ho?
Aur kisi awara patay ki ahat pr
Darwazay ki taraf bhaagy jatay ho?
Kiya tum bhi???
Dard chupanay ki koshish kartay kartay....
Aksar thak se jatay ho!
Aur bila waja muskuratay ho??
Kiya tum bhi???
Neend se pehlay palkon pr
Dhairoan khawab sajatay ho?
Ya phir bister per lait ker...
Ritay rotay sojatay ho????
Kiya tum bhi...
Akhir meri tarhaa Haaar jatay ho....!!!!
Labels:
Aadat,
Aazad Nazam,
Haar,
Meri Kahani,
Payam,
Udasi
Subscribe to:
Posts (Atom)