Tuesday, June 30, 2009

Mohabbat hum se karni hay

Mohabbat hum se karni hay, to phir wada nahi karna,
Ye waday hum ne dekhay han, k aksar toot Jatay Hain.

Mohabbat hum se karni hay to phir zid bhi nahi karni,
Ye zid b hum ne dekhi hay, k sathi chhoot jatay hain.

Mohabbat hum se karni hay to phir tohfa nahi dena,
Ye tohfay hum ne dekhay hain, bohat majbor karty hain.

Mohabbat hum se karni hay to phir shikwa nahi karna,
Ye shikway hum ne dekhay hain, dilon ko door karty hain

Saharay baant laitay hain

Chalo aisa karain mil ker Sitaray Baant laitay hian
Zarorat kay mutabiq Saharay baant laitay hain

Muhabbat karnay walo ki tijarat bhi anokhi hai
Munafa chor daitay hain , Khasaray Baant laitay hain

Agar milna nahi mumkin toa lehron pe qadam rakh ker
Abhi daruaa-e-ulfat kay Kinaray baant laitay hain

Meri jholi mai jitay bhi phool wafa kay hain un ko
Ikhattay baith ker ik roaz, Saray baant kaitay hain

Muhabbat kay ilawa paas apnay kuch nahi Faraz
Is Dolat ko hum qismat kay maray Baaant laitay hain!