Muhabbat tark ki main ne, giarebaan si liya main ne
Zamanay ab toa khush ho, zehar ye bhi pi liya main ne
Abhi zinda hoon lekin sochta rehta hoon khilwat mai
kay ab tak kis tamanna kay saharay ji liya main ne
Unahin apna nahi sakta magar itna bhi kiya kam hai
kay kuch muddat khawaboan mai kho ker ji liya main ne
Bas ab toa daman-e-dil, choar doa baikaar ummedoa!
bahut dukh seh liay main ne, bahut din ji liya main ne!!!!
Sahir Ludhyanvi
Thursday, October 23, 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)