Friday, May 30, 2008

Kaati hai ghum ki raat baray ehtram se

Kaati hai ghum ki raat baray ehtram se
aksar bujha chuke hain chiragon ko shaam se

roshan hai apni bazm or is ehtimaam se
kuch dil bhi jal rahay hain chiragon k naam se

muddat hui hai khoon-e-tamanna kiiye magar
ab tak tapak raha hai lahu dil k jaam se

har saans per hai maut ka pehra laga hua
ahista ay hayat guzar is maqaam se

kaati tamaam umar fareb-e-bahar main
kaante samet'te rahay phoolon k naam se

ye aur baat hai k DUA ham ne use di
awaaz us ne di hai hamain har maqaam se

No comments: