Friday, October 3, 2008

Raston kee marzi hai

Bay zameen logon ko
Bay qarar aankhaon ko
Badnaseeb qadmon ko
Jis taraf bhi lay jayen
Raston kee marzi hai

Bay-nishan jazeeron pe
Bad guman shahron me
Bay zuban musafir ko
Jis taraf bhi bhatka dain
Raston kee marzi hai

Rok lain ya barhney dain
Thaam lain ya girney dain
Wasal ki lakeeron ko
Tor dain ya milney dain
Raston kee marzi hai

Ajnabi ko le kar
Humsafar bana daalain
Sath chalney valon ki
Raakh bhi urra daalain
Ya musafatain sari
khaak me mila daalain
Raston kee marzi hai!!!!!!

No comments: