Friday, October 3, 2008

Mohabbat Thair Jaati Hai

Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain

magar aisa nahin hota

mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar

magar yeh kam nahin hoti

kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein

bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain

magar aisa nahin hota

No comments: