Uss simt chalay ho to itna usay kahna
Kartay nahi koi b tamanna usay kahna
Zarkhaiz zaminain kabi banjar nahi hotin
Darya hi badal laytay hian rasta usay kahna
Dunia to kisi haal main jeenay nahi deti
Chahat magar hoti nahi ruswa usay kahna
Kuch loog safar k liyah mozon nahi hotay
Kuch faaslay kat'tay nahi tanha usay kahna
Tuesday, July 7, 2009
Rishte Zuban Ke Reh Gaye
Wo Dil Nahi Rahe, Wo Jazbe Nahi Rahe
Apne Bhi Is Doar Mein, Apne Nahi Rahe
Halat-e-Zindagi Per Ghor Kiya To Jana
Rishte Zuban Ke Reh Gaye, Dil Ke Nahi Rahe !
Apne Bhi Is Doar Mein, Apne Nahi Rahe
Halat-e-Zindagi Per Ghor Kiya To Jana
Rishte Zuban Ke Reh Gaye, Dil Ke Nahi Rahe !
Tuesday, June 30, 2009
Mohabbat hum se karni hay
Mohabbat hum se karni hay, to phir wada nahi karna,
Ye waday hum ne dekhay han, k aksar toot Jatay Hain.
Mohabbat hum se karni hay to phir zid bhi nahi karni,
Ye zid b hum ne dekhi hay, k sathi chhoot jatay hain.
Mohabbat hum se karni hay to phir tohfa nahi dena,
Ye tohfay hum ne dekhay hain, bohat majbor karty hain.
Mohabbat hum se karni hay to phir shikwa nahi karna,
Ye shikway hum ne dekhay hain, dilon ko door karty hain

Labels:
Aazad Nazam,
Meri Kahani,
Mohabbat,
Naseehat,
Payam,
Such,
Wada
Saharay baant laitay hain
Chalo aisa karain mil ker Sitaray Baant laitay hian
Zarorat kay mutabiq Saharay baant laitay hain
Muhabbat karnay walo ki tijarat bhi anokhi hai
Munafa chor daitay hain , Khasaray Baant laitay hain
Agar milna nahi mumkin toa lehron pe qadam rakh ker
Abhi daruaa-e-ulfat kay Kinaray baant laitay hain
Meri jholi mai jitay bhi phool wafa kay hain un ko
Ikhattay baith ker ik roaz, Saray baant kaitay hain
Muhabbat kay ilawa paas apnay kuch nahi Faraz
Is Dolat ko hum qismat kay maray Baaant laitay hain!

Thursday, June 11, 2009
Teri rehmatoon pay Yaqeen hay
Bray mukhtassur say huroof may
mjhay gehri baat bta gya
k wo khwab sa koi shks tha
Jo sehr say pehlay jga gya
Ksi mehrbaan ki duaon say
Ye sfr mra tmam hoa
Jinhain rehbri ka ghroor tha
Unhay raastoon nay mita dia
Hmain aasman say gila nhi
Teri rehmatoon pay yqeen hay
Jha zindgi nay shikst di
Ksi mojzay nay bcha lia
Hmay zinda rhnay ka hosla
tri aarzo nay ata kia
Bray gehray zkhm milay hmay
Jinhay rfta rfta mita dia...
mjhay gehri baat bta gya
k wo khwab sa koi shks tha
Jo sehr say pehlay jga gya
Ksi mehrbaan ki duaon say
Ye sfr mra tmam hoa
Jinhain rehbri ka ghroor tha
Unhay raastoon nay mita dia
Hmain aasman say gila nhi
Teri rehmatoon pay yqeen hay
Jha zindgi nay shikst di
Ksi mojzay nay bcha lia
Hmay zinda rhnay ka hosla
tri aarzo nay ata kia
Bray gehray zkhm milay hmay
Jinhay rfta rfta mita dia...
Labels:
Aadat,
Aazad Nazam,
Manzil,
Meri Kahani,
Mohabbat,
Payam,
Rasta,
Such
Subscribe to:
Posts (Atom)