Tuesday, June 30, 2009

Saharay baant laitay hain

Chalo aisa karain mil ker Sitaray Baant laitay hian
Zarorat kay mutabiq Saharay baant laitay hain

Muhabbat karnay walo ki tijarat bhi anokhi hai
Munafa chor daitay hain , Khasaray Baant laitay hain

Agar milna nahi mumkin toa lehron pe qadam rakh ker
Abhi daruaa-e-ulfat kay Kinaray baant laitay hain

Meri jholi mai jitay bhi phool wafa kay hain un ko
Ikhattay baith ker ik roaz, Saray baant kaitay hain

Muhabbat kay ilawa paas apnay kuch nahi Faraz
Is Dolat ko hum qismat kay maray Baaant laitay hain!

No comments: