Tuesday, February 23, 2010

JANAM DIN MUBARIK HO

tumhare chehray per jo sajay hain
wo phool khushiyoun ke younhi taaza rehein

abb taaq

hayaat noo mein wo rang bhar dein

ke aanay wala har lamha
neyi umangon ka tarjamaan hoo
nayi baaharon ki dastaan ho
wo dastaan jiss ko parh ker dil mein
muhabton ka messurton ka yakeen ho paida

meri duaa hai

tumhari aankhon ke sare sapne
masaal suraj namaaya ho ker
tumhari duniya jugmaggaye.n
masaa maahtaab aor anjam
tumhari hasti ko sajjain

naik tamanaon ke hamraa'h

"JANAM DIN MUBARIK HO"

No comments: