Mohabbat hum se karni hay, to phir wada nahi karna,
Ye waday hum ne dekhay han, k aksar toot Jatay Hain.
Mohabbat hum se karni hay to phir zid bhi nahi karni,
Ye zid b hum ne dekhi hay, k sathi chhoot jatay hain.
Mohabbat hum se karni hay to phir tohfa nahi dena,
Ye tohfay hum ne dekhay hain, bohat majbor karty hain.
Mohabbat hum se karni hay to phir shikwa nahi karna,
Ye shikway hum ne dekhay hain, dilon ko door karty hain
Tuesday, June 30, 2009
Saharay baant laitay hain
Chalo aisa karain mil ker Sitaray Baant laitay hian
Zarorat kay mutabiq Saharay baant laitay hain
Muhabbat karnay walo ki tijarat bhi anokhi hai
Munafa chor daitay hain , Khasaray Baant laitay hain
Agar milna nahi mumkin toa lehron pe qadam rakh ker
Abhi daruaa-e-ulfat kay Kinaray baant laitay hain
Meri jholi mai jitay bhi phool wafa kay hain un ko
Ikhattay baith ker ik roaz, Saray baant kaitay hain
Muhabbat kay ilawa paas apnay kuch nahi Faraz
Is Dolat ko hum qismat kay maray Baaant laitay hain!

Thursday, June 11, 2009
Teri rehmatoon pay Yaqeen hay
Bray mukhtassur say huroof may
mjhay gehri baat bta gya
k wo khwab sa koi shks tha
Jo sehr say pehlay jga gya
Ksi mehrbaan ki duaon say
Ye sfr mra tmam hoa
Jinhain rehbri ka ghroor tha
Unhay raastoon nay mita dia
Hmain aasman say gila nhi
Teri rehmatoon pay yqeen hay
Jha zindgi nay shikst di
Ksi mojzay nay bcha lia
Hmay zinda rhnay ka hosla
tri aarzo nay ata kia
Bray gehray zkhm milay hmay
Jinhay rfta rfta mita dia...
mjhay gehri baat bta gya
k wo khwab sa koi shks tha
Jo sehr say pehlay jga gya
Ksi mehrbaan ki duaon say
Ye sfr mra tmam hoa
Jinhain rehbri ka ghroor tha
Unhay raastoon nay mita dia
Hmain aasman say gila nhi
Teri rehmatoon pay yqeen hay
Jha zindgi nay shikst di
Ksi mojzay nay bcha lia
Hmay zinda rhnay ka hosla
tri aarzo nay ata kia
Bray gehray zkhm milay hmay
Jinhay rfta rfta mita dia...
Labels:
Aadat,
Aazad Nazam,
Manzil,
Meri Kahani,
Mohabbat,
Payam,
Rasta,
Such
Izhaar-e-Mohabbat Ik Dhoka Sa Lagta Hai
Woh Kehti Hai Ussey Mujh Say Mohabbat Hai
Magar Aksar Woh Milti Hai To
Kuch Kehney Ki Koshish Mein
Jhunjhla Si Jaati Hain
Muskuraaney Per Uss Ki Aankhein
Labon Ka Saath Chorr Jaati Hain
Be-chaini Aur Muztarib Kaifiyat Ki Shikar
Kayi Baatein Adhoori Chorr Deti Hai
Mainey Aksar Ussey Uljha Sa Paaya Hai
Aur Uss Lamhey Izhaar-e-Mohabbat
Ik Dhoka Sa Lagta Hai
Agarchey Jaanta Hoon Main
Ke Woh Kehna Kya Chaahti Hai
Magar Aey Mohabbat !
Kye Aisa Bhi Hota Hai
Mohabbat Kadey Ke Makeen
Yoon Ukta Bhi Jaatey Hain
Lahoo Say Seench Ker Hum Jo
Bandhan Banatey Hain
Kisi Morr Par Aa Kar
Kya Ye Choott Bhi Jaatey Hain
Agar Iss Aashiyan-e-Mohabbat Ki
Yehi Riwayat Hai
To Sun Aey Dil-Nasheen Sun
Tujhey Hum Azaad Kartey Hain
Ke Khud Ko Barbaad Kartey Hain
Apni Hi Zaat Mein
Khudi Ko Qaid Kartey Hain ....!!

Aankhain,
Aazad Nazam,
Dur,
Jhoot,
Meri Kahani,
Mohabbat,
Naseehat,
Such
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
Tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
Nind ka halka gulabi-sa Khumar ankhon main tha
Yun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin
Har taraf divar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
Kah sake jo dil ki halat vo lab-e-goya nahin
Jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
KaTata hun zindagi bhar main ne jo boya nahin
Janata hun ek aise shaKhs ko main bhi `Munir`
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
Tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
Nind ka halka gulabi-sa Khumar ankhon main tha
Yun laga jaise vo shab ko der tak soya nahin
Har taraf divar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
Kah sake jo dil ki halat vo lab-e-goya nahin
Jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
KaTata hun zindagi bhar main ne jo boya nahin
Janata hun ek aise shaKhs ko main bhi `Munir`
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
Mujhay Tum se Muhabbat hai....
Mujhay aksar ye kehti thi...
Kay itni baar kehtay ho
"Mujhay Tum se Muhabbat hai"
kay ab dil pr ye sunnay se
Asar koi nahi hota
Magar jab aaj....
Danista nahi bola usay main...
Mujhay Tum se Muhabbat hai....
to
USKI AANKH BHAR AAI
Kay itni baar kehtay ho
"Mujhay Tum se Muhabbat hai"
kay ab dil pr ye sunnay se
Asar koi nahi hota
Magar jab aaj....
Danista nahi bola usay main...
Mujhay Tum se Muhabbat hai....
to
USKI AANKH BHAR AAI
Labels:
Aadat,
Aansu,
Aazad Nazam,
Atif Saeed,
Dard,
Meri Kahani,
Mohabbat,
Such
Subscribe to:
Posts (Atom)