Monday, April 27, 2009

Chalo main aaj us ko yeh bata doon

Chalo main aaj us ko yeh bata doon
K main ik bohot hi khudgharz insaan hoon

Meri har baat, har ik soch
Mujh say hi shuru’ aur khatm hoti hai

Meri is zindagi ka har lamha har pal
Mujh hi pay waqf hota hai

Meri har ik dua har aarzu main
Mera hi zikr milta hai

Mujhay lagta hai us ko kuch ghalat fehmi see hai
K jaisay us ka guzar hai meray khayaloon main

K baton main duaon main, dinon main aur raaton main
Main us ko yaad karta hon usi ki baat karta hoon

Agar wo sochta hai yoon tou main us ko sahi kar doon
Zara main aaj us ki yeh ghalat fehmi khatam kar doon

Us ki yeh soch meri kitaab hi ka qissa hai
wujood us ka meri hi zaat ka tou hissa hai

Chalo main aaj us ko yeh bata doon………

2 comments:

huma said...

gud one !!

Unknown said...

Marvelous poem ......