Tuesday, November 11, 2008

Kaash Mujhay Bhi Batain Aateen ...!

Mujh ko Batain kab ati Hain ?

Main toa bas, Khamosh Sa Shayar

Ulfat chahat ky Rangoan se
Dil ki khali Tasweero mai
Koi Muhabbat Likh daiTa hn

Aur kabhi...

Dewaar se lag kar
Koi Muhabbat Ro daita hoon

Aur kabhi ankhon ankhaon mai
Sari batain kehjata hoon!

Main toa ik khamosh sa Shayar...
Mujh ko batain kab aati hain?

Mujhko batain gar aateen to !

Tum kiya mujhko chor ker jaateen ?
Meray sapnay toar kar jateen ?
Kiya meri Ankhaon mai dukh kay,
Itnay anso dai sakti theen?

Mer kul sarmaya tha jo..
Kiya wo mujh se lai sakti theen?

Mujh ko batain karna gar aateen toa...

Main bhi tum se wo sab kehtaa
Jo tum sunnay ki khawahish mai
Saray Raastay bhool aai ho!

Main tehraa Khamosh sa Shaayar...

Tum bhi meray khawab Sajateen
Yun tanhaa na chor kar jaatein...

Kaash Mujhay Bhi Batain Aateen ...!

No comments: