Wednesday, October 1, 2008

Me Manta hoon apni Haar usay kehna!

Bikhar rahi hay meri zat usay kehna
Kabhi milay to yehi baat usay kehna

Wo sath tha to zamana tha hamsafar mera
Magar ab koi nahi meray sath usay kehna

Usay kehna k bin us kay din nahi kat-ta
Sisik sisik k kat-ti hay raat usay kehna

Usay pukaron k khud hi pohanch jaon us k pass
Nahi rahay wo halaat usay kehna

Agar wo phir bhi na lotay to a meray meherban Qasid
Hamari Zeest k Halaat usay kehna

Har jeet us k naam kar raha hoon me
Me Manta hoon apni Haar usay kehna!

No comments: