Sunday, August 17, 2008

Reet is Nagar ke Hay...

titliyon kay mousam main nochna gulabon ka
reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai
dekh kar parindon ko baandhna nishaanon ka
reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai

tum abhi naye ho na iss liye preshaan ho
aasmaan ki jaanib tum iss tarah say mat dekho
aaftain jub aanii hon, tootna sitaaron ka
reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai

iss shehar kay bashinday nafrton ko bou kar bhi
intezaar kartay hain fasl ho muhabbat kii
chorr kar haqeeqat ko dhoondna saraabon ka
reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai

ajnabi fizaaon main ajnabi musaafir say
apnay har taaluq ko daaimii samjh laina
aur jub bicharr jaana mangnaa duaaon ka
reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai

khamoshi mera shewaa, guftugoo hunar unkaa
meri be-gunaahii ko log kaisay maanain gay
baat baat peh jub kay mangnaa hawaalon ka
reet iss nagar kii hai aur jaanay kab say hai

No comments: