bujhay bujhay say ajib din hain khwab hai na khayal koi
na manzaron main koi kashish hai na mausmon main jamal koi
hm aik doojay ko apni apni adhori ankhon say daikhtay hain
hamari barson ki chahton par utar raha hai zawaal koi
jo hansna chahain to ashk niklain jo rona cahain to hanstay jain
hamaray jazbat girvi rakh kar bana raha hai misaal koi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment