Wednesday, April 30, 2008

Raah-e-Wafa p chley to Maloom hoa

Raah-e-Wafa p chley to Maloom hoa
iTna Aasan nhi Dust-e-Sehar Maloom hoa
Safar hur Talib-e-Ulfat ka Muqadar hy magr
Hur MUSAFIR ko nhi Wusl-e-Manzil Maloom hoa

Raazdaa'n kerta nahi

Aur bhi qissey hain jo main dastaa'n kerta nahi
Aur bhi kuch ghum hain jin ko main baya'n kerta nahi
Raaz hain,jin ka Amee'n hoon main he bus is deher mein
Is khabar ka main kisi ko raazdaa'n kerta nahi...

Barishon k mausam men

Barishon k mausam men,
Tumko yaad krne ki aadaten purani hain,
Ab k baar socha tha,
Aadaten badal dalen.
Phir khayal aya k,
Aadaten badalne se,
Barishen nahi rukti..!

Mujhay acha sa lagta hai

Mujhay acha sa lagta hai
bohat acha sa lagta hai
tumhey ko dakhtay rahna
tumhey ko chahatay rahna
tumhey ko sochtay rehna
tumhey ko poojtay rehna
Mujhay acha lagta hai
bohat acha sa lagta hai
Tumharay sang sang chalna
Wafa ki aag main Jalna
kabhi ikrar kar laina
kabhi inkar kar laina
aankhon se kuch kehna
kabhi keh kar mukar jana
tumhari berukhi par bhi
tumhari aarzoo karna
mujhay acha sa lagta hai
bohat acha sa lagta hai

RosHan Aankhain

Us ny kaha
TumHari Aankhain
bohat RosHan hain
Aur main yeh Soch ky Hans dia
ky isKo kia khabbar
ky Barish ky baad
Mosam"nikhrTy hi hain...!!!

Zinda Hoon

yeh hai meri kahani
khamosh zindagani
sannata keh raha hai
kyun zulm seh raha hai

ek dastaan purani
tanhayi ki zubani
her zakham khil raha hai
kuch mujh se keh raha hai

chubtay kantay yadoon ke daaman say chunta hoon
girti deewaron ke aanchal mai zinda hoon

bass yeh meri kahani
benishaan nishaani
ek darr beh raha hai
kuch mujh se keh raha hai

chubtay kaanten yadoon ke daaman se chunta hoon
girti deewaron ke aanchal mein zinda hoon

bajay pyaar ki shabnum mere gulistaan mein
baraste rehte hain har simt maut ke saye
siyahiyon se ulajh padti hain meri aankhein
koi nahi .. koi bhi nahi jo batlaye
kitni der ujalon ki raah dekhe
koi nahi hai koi bhi nahi
na pass na durr
yeh pyaar hai
dil ki dharkan
apni chahat ka jo ellan kiye jaati hai
zindagi hai jo jiye jaati hai
khoon k ghoont peay jaati hai
khwaab aankhon se siye jaati hai

ab na koi paas hai
phir bhi ehsaas hai
yahiaon mai uljhi padi
jeene ki ek aas hai
yadoon ka jungle yeh dil
kaanton se jal thal yeh dil

chubtay kaanten yadoon ke daaman se chunta hoon
girti deewaron ke aanchal mein zinda hoon

Bechain Main Hoon, Beqaraar Main Hoon Na

Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Bechain main hoon, beqaraar main hoon na
Koyi toh ho aisa, jisko apna keh sakoon
Koyi toh ho aisa, jiske dil mein reh sakoon
Koyi toh kehta ek baar main hoon na
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Bechain main hoon, beqaraar main hoon na

Jo bandhan toote, jo apne roothhe
Paas aa jaayein phirse dooriyaan
Ye kyun hota hai, ke dil rota hai
Bebas ho jaati hai, ye zabaan
Apne toh saare is kinaare reh gaye ho..
Tanha chala jo us paar main hoon na
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Bechain main hoon, beqaraar main hoon na

Jahaan bhi main jaaun, jahaan bhi main dekhoon
Saare chehre begaane se hain
Kabhi koyi tha, jo mera hi tha
Ye qisse ab afsaane se hain
Kal zindagi ne khel khele the gaye
Kuch log jeete, jeet ke sab le gaye ho..
Hisse mein aaya jiske haar main hoon na
Khoya hai paake jisne pyaar main hoon na
Bechain main hoon, beqaraar main hoon na

Sunday, April 27, 2008

Koi to Hota !

Koi to hota!
Main jis k dil ki
Kitab banta
Main jiski chahat
Ka khawab banta
Main hijar k mausam ki lambi
Raaton mein
Yaad ban kar
Azab banta
Koi to hota!
Jo meri
Kahwahish mein
Uth k raaton ko
Khuub rota
Dukhon ki
Chadar lapait
Kar
Hajum-e-duniya
Say door hota
Main rooth jata
To manata mujhko
K chahay mera
Qasur hota
Koi to hota!
Main jis itna
Kareeb hota
Na paas koi
Raqeeb hota
Main tanha uska
Habeeb hota
Yeh silsila bhi ajeeb
Hota
Koi to hota!

Dard gar aadmi hota

Dard gar aadmi hota,tou girebaan pakkar kar kehte....
Is tarah rehte hain bechain dilon k andar..?
Is tarah karte hain bemaaron k saath?
Dil mein rehna hai tou theek se rehna seekho
hum tumhein sehte hain,kuch tum bhi tou sehna seekho
ek thodi si khushi mil jaye,tou jal jaate ho..
Dard gar aadmi hota,tou girebaan pakkar kar kehte...!

Wednesday, April 23, 2008

Mohabbat Jhoot Hai

Chalo choro!!
Mohabbat Jhoot Hai
Ehd-e-wafa ek shugel hai bekar logoun ka
talab sokhey hoay patoun ka beraunaq jazeera hai
khalish demak zada auraq per
bosida satroun ka zakhera hai
Chalo choro k ab tak mei andheroun ki
dhamak mei sans ki zarboun pe
chahat ki bina rakh ker safar kerti rahe hun
mujhe ehsas hi kab tha?
k tum bhi mausamoun k sath
apne pairhen k rang badal lo ge
chalo choro !!
mera hona na hona ek barabar hai
tum apne khalokhad ko aine mei
phir nikharney dou
tum apne ankh ki basti mei phir se
ek naya mausam utarne dou
mere khawaboun ko marney dou
chalo choro!!
Mohabbat Jhoot Hai ...

Chandni

Chandni
us darechy ko choo kar
mery neem roshan jhroky ma aye na aye
mager
mere palkon ki taqdeer sy neend chuntee rahy
or us ankh k khawab buntee rahy!!

Us k honton ki tabassum rahay qayem ya rab

Us k honton ki tabassum rahay qayem ya rab,
us k jeewan main khushion ka basera kar dey,
tu meray qurb ki raton ko bhe khatam na kar,
us ki her sham k akhir main sawera kar dey,
us k dil k kisi konay main jaga dey mujh ko,
us ki ankhon ko meray sapno se kheera kar dey,
ye meray dil ki dua hay meray mola sun lay,
sari duniya se chupa kar usey mera kar dey.

Mere Dil Ki Ye Duaa Hay

Mere Dil Ki Ye Duaa Hay
Ke Khuda Kare
Teri Zeest Ka Har Pal
Har Lamha
Gulaab Hojaaye
Shaadaab Hojaaye
Teri Rooh Ki Tashnagi
Seraab Hojaaye
Teri Zaat Ka Mehwar
Koi Mahtaab Hojaaye
Jin Par Barasti Hain
Khuda Ki Khaas Rehmatain
Un Chend Hastiyoon Main
Tera IntiKhaab Hojaaye..

Usay khush naseeb kerday....!

Saray jhaa ki khushiyan us ka naseeb kerday
Hansta rahay sada wo usay khush naseeb kerday
Kbi na dil us ka tootay kbo na zakham wo khaye
Us ko wafa k ya rub itna qareb kerday
Us k labo pay ya rub sada muskurahatein hi hoo
Qismat main us ka hansna meary habib kerday
Chal ker jhaa b jaye pholo k rastay ho
Manzil her khushi ki tu us k qareb kerday
Dil mera ab tuk khaaa mutmaeen howa hay
Us k dukho ko ya rub mera naseeb kerday

TUM

TUM
Tum jis khowab main ankhain kholo
Uss ka roop amar
Tum jis rang ka kapra phno
Woe mousam ka rang
Tum jis phool ko hans kar daekho
Kabi na woh mujhay
Tum jis harf pa ungli rukh do
Woh rooshan ho jaaye

Dua bacha leti he

Mein ne kaha tha na
Dua bacha leti he
Jab har dawa sath chor deti
Har aas tot jati he
Apne hi aap se hum
dur bahut dur hote jate hen
Kisi na kisi ki
Kisi surat ho ya kisi pal mein
Ban kar rahbar sa koi
Rah dekha deti he
Din mein raat mein ho
Subah mein ho sham mein ho
Watan ki guad mein ho
Yahan dyar ghair mein ho
Ban saiban har toofan se bacha leti he
Mein ne kaha tha na
Dua bacha leti he
Kisi ke sath mein ho
Ya kisi ke baad mein ho
Muhabbat se janam le kar
Muhabbat sa bana deti he
Aur jab tum ke lage
Nahi tum ko bachaya iss ne
Mera yaqeen karo
Us pal bhi
Jori hatheli se kahin
Tum ko sada deti he
Mein ne kaha tha na
Dua bacha leti he

Sunday, April 20, 2008

Aakhari Alvida Na Ho

dhadkane khaamosh hain, kuch kehti nahi
yeh aakhari alvida na ho
chaahate aankhon se behti nahi
yeh aakhari alvida na ho
iss dard dil mein, dil mein rehne do
jo khauf hai aankhon se, aankhon se kehne do
dukh ki nadi chup chaap behne do
jo kehna hai tum dheere se keh do
yeh aakhari alvida na ho

dhadkane khaamosh hain, kuch kehti nahi
yeh aakhari alvida na ho

sab yaadein, jo baandhe the bandhan
kaajal, bindiya, haathon mein kangan
mehki rehti thi menhdi
gaata rehta tha saawan
inn yaadon ko sapno mein rehne do
yeh aakhari alvida na ho

aakhari alvida na ho
dhadkane khaamosh hai, kuch kehti nahi
yeh aakhari alvida na ho
chaahate aankhon se behti rahi
yeh aakhari alvida na ho